Muje Mitti ka Ghar bananay ka shoq tha
Usey Aashianay Giranay" ka shoq tha,
Main khud se Rooth jata hon aksar is liye
Mujhe roothay huye loag mananay ka shoq tha,
Usey wadon ki passdari pasand na thi
Laikan mujhe waaday nibhanay ka shoq tha,
Main masroof tha tanhayoon ki talash main
Usey logon se milne milanay ka shoq tha,
Wo bewafa tha iss main hairat ki bat kia hia
Muje bhi bewafa logon se dil laganay ka shoq tha...!
Aansoo jo beh rahey hain inhain behney doo,
Ye keh rahey hain dil ki baat kehney doo,
Bohat bewafa ho tum ye ham ko hai maaloom,
Tum apni wafa ki baat apney tak hi rehney doo,
Mila to kaya mila tumhain chahney ke baad,
Bus dukh hi seh rahey hain hamain sehney doo,
Tum ne to keh daala sub haal,e,dil apna,
Ab mujh ko apni dastaan bhi kehney doo,
Mar hi gaey auroon ke liye ham,
Tum apni khatir ham ko zinda rehney doo.
Aap ko bhool jaayein hum itne to be'wafa nahi
Aap se kya gila karein aap se kuch gila nahi
Hum to samajh rahe the ye tum mile pyaar mil gaya
Ik tere dard ke siwa, hum ko to kuch mila nahi
Sheesha-e-dil ko toRna un ka to aik khail hai
Hum se hi bhool ho gai un ki koi khata nahi
Kaash wo apne ghum mujhe de dein to kuch sakoon mile
Wo kitna bad'naseeb hai ghum hi jisse mila nahi
Jurm hai agar wafa to kya, kyun ma wafa ko choR doon
Kehte hain is gunaah ki hoti koi saza nahi
Zindagi Mein Koi Aisa Dost Banaya Jaye
Jiske Aansuon Ko Palko Mein Chupaya Jaye
Rahe Uska Mera Rishta Kuch Aisa Ki
Woh Udas Ho To Humse Bhi Na Muskuraya Jaye
Khulle Paare Hain Meri Zindagi Kay Saare Warq
Najane Kab Koi Aandhi Ura Kar Lai Jaii
Kisi Ka Dard Kahan Tak Apnay Pass Rakhon
Ye Jis Ka Ho Wo Nishani Bata Kar Lai Jai
Tum Apni Zulf Ki Parchaiyan Mujhay Day Do
Tum Apni Shaam Ki Tanhaiyan Mujhay Day Do
Mein Doob Jaon Tumhari Udas Aankhon Mein
Tum Apnay Dard Ki Gehraiyan Mujhay Day Do
Hum Bewafa Hargiz Na They
Par Hum Wafa Kar Na Sake
Humko Mili Uski Sazaa
Hum Jo hum Khata Kar Na Sake
Kitni Akeli Thi Wo Raahein Hum Jinpar
Ab Tak Akele Chalte Rahein
Tujhse Bichhadke Bhi O Bekhabar
Tere Hi Gham Mein Jalte Rahein
Tuney Kiya Jo Shikwa
Hum Wo Gilaa Kar Na Sake
Tumne Jo Dekha Suna Sach Tha Magar
Kitna Tha Sach Ye Kisko Pata
Jaane Tumhe Maine Koi Dhokha Diya
Jaane Tumhe Koi Dhokha Hua
Is Pyar Mein Sach Jhooth Ka
Tum Faisla Kar Na Sake
03002504366
woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
keh dhoop cHayoN ka alam raha,judaai na thi
na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal
sHab`e firaq kabhi hum nay yuN ganwayi na thi
mohabbatoN ka safar is tarha bhi guzra tha
sHikasta dil thay musaafir sHikasta paayi na thi
adawateiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRhnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi
bicHaRhtay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi
kabhi yeh haal keh donoN maiN yakdili thi bohat
kabhi yeh marhala jaisay keh asHnayi na thi
ajeeb hoti hay rah`e sukHan bhi dekh Naseer
wahaN bhi aa gaye akHir jahaN rasayi na thi
Search
Friday, May 21, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment