Wuh Kuch Sunta Tu Main Kehta, Mujay Kuch Aur Kehna Tha
Wuh Pal Bhar Ko Ju Ruk Jaata, Mujay Kuch Aur Kehna Tha
Galut Fehmi Ney Baatun Ko Barhaa Dalaa Yunhi Warnaa
Kaha Kuch Tha, Woh Kuch Samjha, Mujay Kuch Aur Kehna Tha
Kamaayi Zindagi Bhur Ki Usi Ke Naam Kyun Kerdi
Mujay Kuch Aur Kerna Tha, Mujay Kuch Aur Kehna Tha
Kahaan us Ne Suni Meri Suni Bhi Un-Suni Kerdi
Usey Maloom Tha Itna, Mujay Kuch Aur Kehna Tha
Rawaan Tha Pyar Nus Nus Mein, Buhat Qurbut Thi Aapas Mein
Usey Kuch Aur Sun-Na Tha, Mujay Kuch Aur Kehna Tha...
Zindagii ye to nahiiN tujhko saNvaaraa hii na ho
kuch na kuch teraa ehsaan utaaraa hii na ho
kuu-e-qaatil kii baRii dhuum hai, chal kar dekheN
kyaa Khabar, kuuchaa-e-dildaar se pyaaraa hii na ho
dil ko chhuu jaatii hai raat kii aavaaz kabhii
chauNk uThtaa huuN kahiiN tuune pukaaraa hii na ho
kabhii palkoN pe chamaktii hai jo ashkoN kii lakiir
sochtaa huuN tere aaNchal kaa kinaaraa hii na ho
zindagii ek Khalish de ke na rah jaa mujhko
dard vo de jo kisii suurat gavaaraa hii na ho
Zindage bhar mai ik safar mai raha
khuwahishon k haseen nagar mai raha
maine mana k tere dhokay mai
mah jabeeno ko maine chaha hai
haan magar in haseen chehron main
umar bhar tera aks dhoonda hai
or mere koi talab hee nahi
bas tumhari mujhe zaroorat hai
tumse mil kar mujhe hua ahsas
"ZINDAGE KITNI KHUBSURAT HAI"
husn jitna bhe hai, jahan bhe hai
mujh ko sab kuch fareb lagta hai
mujh ko sab kuch fazool lagta hai
tere qadmon ke dhool lagta hai
mere ankhon se agar koi dekhay
jaan-e-jaan tum he khubsurat ho
thee tumhare hi bas talash mujhe
tum meri jaan pahli mohabbat ho
"Tum meri akhri mohabbat ho"
Kehne Ko Her Sitam Zindagi Mein Imtihan Hota Hai
Jis Ka Tujh Sa Dost Ho Wo Naseeeb Wala Hota Hai
Choti Si Baat Par Rooth Jana Tera
Phir Tujhe Mananey Ka Pora Ehtimaam Hota Hai
Tera Mujhey Satana Yun Baar Baar
Mera Roz Roz Imtihan leyney Jaisa Hota Hai
Meri Baatein Sun Kar Tera Yun Hasna Jaisay
Tareek Raat K Baad Subah Ka Ujala Hota Hai
Hastey Hastey Ruk Jana Tera Yeh Ehsaas Dilata Hai
Barsaat K Baad Jaisay Khizaan Ka Mausam Hota Hai
Ankhoon Mein Chamak Aaise Hai Teri
Shaam Ka Pehla Sitara Jaisay Hota Hai
Tujhe Sir Ankhoon Pay Bitha Rakha Hai Meiney Kuch Is Tarha
Kisi Sheher Ka Baadshah Jaisay Koi Hota Hai
Mere Barsoon K Aetimaad Ko Kabhi Mat Torna Dost
Ek Bar Jo Toot Jaye Yeh Kaanch Phir Saabut Nahi Hota Hai
Ab K Jo Haath Mera Thaama Hai Tu Nay
Mujhe Beech Rastey Mein Chor Mat Jana Jaisey Koi Beywafa Hota Hai
Na sawal ban ke mila karo,na jawab ban ke mila karo
Meri zindagi mere khawab hein,mujhe khawab ban ke mila
karo
Har shaam ko mere dosto na azaab ban ke mila karo
Mujhe me-kade mein milo agar to sharaab ban ke mila maro
Abhi sochna he to soch lo,abhi chorna he to chore do
Naye mosamon mein milo agar to gulab ban ke mila karo
Mujhe ache log mile buhat,mein to un ke qarz se mar gaya
Gar ho sake to kabhi kabhi to kharab ban ke mila karo
Na tum is tarah se mila karo,na tum us tarah se mila karo
Haan hazur ban ke mila karo,Haan janab ban ke mila karo
Har ek rooh main ek ghum chupa lagay hai mujhay
ye zindagi tu koe bad-dua lagay hai mujhay
jo aansoun main kabhi raat bheeg jati hai
bohat qareeb wo aawaaz-e-pa lagay hai mujhay
main so bhe jaoun tu kia meri band aankhoun main
tamaam raat koe jhaankta lagay hai mujhay
main jub bhe us k khayaloun main kho sa jata hon
wo khud bhe baat karay tu boda lagay hai mujhay
daba k aae hai senay main kaun se aahain
kuch aaj rang tera sanwala lagay hai mujhay
na janay wqt ki raftaar kia dekhati hai
kabi kabi tu bada khouf sa lagay hai mujhay
bikhar gaya hai kuch es tarha aadmi ka wajood
har eak fard koe saaneha lagay hai mujhay
ab eak aadh qadam ka hisaab kia rakhiye
abhi talak tu wohi faasla lagay hai mujhay
hikayat-e-ghum-e-dil kuch kashish tu rakhti hai
zamana ghour se sunta hoa lagay hai mujhay
Mayous mat hona ye ek gunah hota hai
Milta wahi hai jo kismat main likha hota hai
Har cheez miley hume ye zaroori to nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main b hota hai
Jo khud ko koste hain wo shayed bekhabar hain
Kuch pa lene ka intzaar khud pe bhi hota hai
Har ek ko bewafa -e-ilzam kyun thehraye hum
hamare samne bhi to ek aayena hota hai
Hum apni zindagi se kyu haar jayein
agar doobta hai suraj to dubne do kal bhi ujala hota hai!!!!
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.....
Phool Hathoon mein Dekar kaha Bhool jana Hamein
Kitna Khush tha wo dekar wo I Zaman Dekar Hamein
Lakh Koshishien karta Hye Wo Lubhane kalye
Wo Samjhta Hye ke Bana lega Apna Dewana Hamein
Hazar Jatan se Bhi wo paa Na sakhega Mujhe
Gareeb ke Rozi hein Mushkil hye Kaman Hamein
Do ghari Mujhe apni Awargi me Jee lene Do
Phir Jiss Simit Chahye Lay ke chale jana Hamein
Do char Din se Thahar is gai hai Zindgi 'TAHIR'
Lafzoon ke Teer Maar ke Phir tarpana Hamein
Zindagi Ke Kisi Murd Mein Khud Ko Tanha Na Samajhna
Main Tera Hun Mujhe Apne Sey Juda Na Samajhna
Main Tum Ko Apni Zindagi Sey Bard Kar Pyaar Karta Hun
Dekho Tum Meri Iss Mohabbat Ko Bura Na Samajhna
Tum Phoolun Ki Tarah Khubsurat Ho Masum Ho
Meri Iss Chahat Ko Tum Apne Liye Beja Na Samajhna
Umarr Bhar Tera Saath Deney Ka Wada Kiya Hai
Agar Zindagi Ne Saath Na Diya Tou Bewafa Na Samajhna
Ab Bhi Tu Ne Agar Mere Pyaar Ko Thukra Diya
Tou Ussey Mera Mukhaddar Janna Lekin Apni Khata Na Samajhna..!
kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal k
vo badal gaye achanak meri zindagi badal k
huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k
teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake
koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k
mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k
teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k....
Azmat-E-Zindagii Ko Bech Diyaa
Ham Ne Apanii Khushii Ko Bech Diyaa
Chashm-E-Saaqii Ke Ik Ishaare Pe
Umr Kii Tishnagi Ko Bech Diyaa
Rind Jaam-O-Subuu Pe Hansate Hain
Shaikh Ne Bandagii Ko Bech Diyaa
Rah Guzaaron Pe Lut Gaii Raadhaa
Shaam Ne Bansurii Ko Bech Diyaa
Jagamagaate Hain Vahashaton Ke Dayaar
Aql Ne Aadamii Ko Bech Diyaa
Lab-O-Rukhsaar Ke Ivaz Ham Ne
Sitvat-E-Khusravii Ko Bech Diyaa
Ishq Beharuupiyaa Hai Ai ?Sagar?
Aap Ne Saadagii Ko Bech Diyaa
Badi udaas hai zindagi, koi to saathi chaahiye - 2
Ek talaash hai zindagi, koi to saathi chaahiye
Aayega mujhpe bhi pyaar kisi ko
Mujhko to hai yeh aitbaar
Hoga mera bhi intezaar kisi ko
Sach keh raha hoon mere yaar
Aise naa pagal machal, dil deewane sambhal - 2
Bad hawaas hai zindagi, koi to saathi chaahiye
Ek talaash hai zindagi,
la la la la la la la la la la la la la
Koi to saathi chaahiye
Yaadon mein koi din raat sataaye
Tanha kate naa yeh safar
Kitna mujhe voh bechain banaaye
Usko nahin hai khabar
Bas mera naa chale, usko lagaa loon gale - 2
Ek pyaas hai zindagi, koi to saathi chaahiye
Ek talaash hai zindagi,
la la la la la la la la la la la la la
Koi to saathi chaahiye
Badi udaas hai zindagi, koi to saathi chaahiye
Ek talaash hai zindagi,
la la la la la la la la la la la la la
Koi to saathi chaahiye
aik talash hay zindagi koi too sathi chahiy
Mujhe zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin
koi zindagio per karey yaqeen
mujhey zindagi pe yaqeen nahin
yeh safar bhi kaisa safar hua
mein kabhi kahin tou kabhi kahin
mujhey jis sanam ki talash thi
woh mila magar meraa nahin
mein woh raat hoon jo katti nahin
mein woh baat hoon jo bani nahin
mujhey zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin
kaash ye zindagi tere naam ho jaye
umer yunhi tamam ho jaye
aur ye chaar din ki zindagani ka safar
tere saath hi tamam ho jaye
kash ye zindagi tere naam ho jaye
gham na milein khushiyaan hi milein tujh ko
aur teri ankhoon ka har behta howa ansoo
meri ankhoon ke naam ho jaye
kash ye zindagi tere naam ho jaye
umer yoonhi tamam ho jaye!!
Mere barbadi per tu aaey dost sharminda na ho
haan tery haaton magar yeh jurm aainda na ho
aaey janoon-e-sang bari ek zara si ehtiat
jo hadaf hai wo issi sehar ka baashinda na ho
phir piyala zehar ka hai mehtasib key haath main
goor sey dekho kahi sakraat bhe zindaa no ho
jo khaloos-e-dil sey mujh ko dey raha hai mashwarey
yeh kahi mery aado ka koi kaarinda na ho
sar basar lutna muqaddar hai agar sahib to phir
kaafily ka mery koi bhe noomainda na ho
doobta sooraj mujhey kase shuaaen day gaya
khud mery qad sey ziada mere qaamat ho gai
aa gai hai umar-e-rafta sooch ki dehleez per
zindagi bhe ab simat kar ek saaAt ho gai
kia talaash karte ho
in fazoul batoun main
kis liye ulajhte ho
jisko milna hota hai
bin lakeer daikhay bhe
zindagi ki rahoun main
saath saath chalta hai
pher kahan bicharta hai
jo nahi muqaddar main
kab hamain wo milta hai
sab samjhtay ho tum
sab jo jaante ho tum
pher janaa'n
haath ki lakeroun main
kia talaash karte ho......?
qyun zindigi ki raaha mein majboor ho gaey
itney hoey qareeb k hum dour ho gaey
esa nahee k hum ko koi bhi khushi nahee
lekin ye zindigi to koi zindigi nahee
qyun is k faisley hamein manzoor ho gaey
itney hoey qareeb k hum dour ho gaey
paya tumhein to hum ko laga tum ko kho diya
hum dil pe roey aur ye dil hum pe ro diya
aankhon se khuwab q bunein q choor ho gaey
itney hoey qareeb k hum dour ho gaey
Hum ne Ye karz b utaar liya,
Zindagi jaa Tujhe guzaar liya...
Aik Tum ho Bichar k Zinda ho,
Aik Hum hain k Khud ko Maar liya..
Mere muqable mein dil kisi pe haar k deikh,
Baghair mere Zara zindgi guzar k deikh.,
Tujhe nahi hai meri shidaton ka andaza,
kisi bhi simt se mujhko kabhi pukar k deikh.
Tu aa k mera sabhi kuch hi chheen k le ja,
Mohabaton ka meri qarz yoon utaar k deikh.
Boht hi pyar se dekhay ga aaina tujhko,
kisi k wastay khud ko kabhi sanwaar k deikh.,
Bisaat e dil pe ajab hai shikast e zaat ka lutf,
Jahan pe jeet atal ho woh chaal haar k Deikh..
Ik chaand tanha khara raha mera aasmaan se zara pary
Mera sath sath safar main tha meri manziloon se zara pary
Teri justjo jo keh hisaar say teray khawab tera khayal say
Main woh shakhs tha jo khara raha teri chahtoon se zara pary
Kabhi dil ki baat kahi na thi, jo kahi woh bhi dabi dabi
Mere lafz to poray the mager teri sma'atoon se zara pary
Tu chala gaya meray dost zara dekh murr keh to ik nazar
Meri kashtian hain jali hui teray sahiloon se zara pary
Ulfat Ke Phool Khil Kar Bikhar Jaatey Hain
Aksar Dost Mil Kar Bicharr Jaatey Hain
Jab Kabhi Yaad Humein Woh Aatey Hain
Aankhon Mein Aansoo Bhar Jaatey Hain
Hum Ne Na Ki Kabhi Shikayat Unn Say
Bass Wohi Humein Bhool Jaatey Hain
Dosti Nibhaney Ka Waada Kar Ke Hum Say
Phir Aik Din Woh Door Chaley Jaatey Hain
Abb Dosti Karney Ko Jee Nahin Chahta Humara
Ke Achey Dost Humeisha Bicharr Jaatey Hain ...!!
Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay
Kiyon hum peh uthaeen sang-e-malamat ki fasilein
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay
Yeh chaand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Munsoob tere naam se kya kya na karen gay
Wiraan hoey qasr-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay
Har cheez ki bohtaat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay
Khwab khodey to teri yaad ke khandar nikley
Khud mein doobey to teri zaat ke andar nikley
Be waja na thi ye be jaan buto'n ki chahat
Dil jo toota to tere pyar ke mandir nikley
Hum to samjhe the je ke ho'n ge ye do char aansu
Roney bethey to samandar ke samandar nikley
Kya hua jo tumhara saath nahi
Mere hathon main tumhara haath nahi
Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat main zaroori mulaqat nahi
Main sari umar tarsa hon chahat ke liye
Mere naseeb me shayad ye soghat nahi
Iss andaaz se bikhar kar phir simat na saka
Mujhe samaitne wala hi koii haath nahi
Jis ki DOSTI peh naz thaa, wo DOST bhi gaya
Kis qarb se kaha us.. ne koi baat nahi
wo kinaron se khelne wale
doob jain toh kia tamasha ho
banda parwar jo hum pe guzri hai
hum batain toh kia tamasha ho
aaj hum bhi teri wafaon per
muskurain toh kia tamasha ho
teri surat jo itefaq se hum
bhool jain toh kia tamasha ho
waqt ki chaand saatain sagar
lout aain toh kia tamasha ho ..
Ye neend ki devi bhe ajab dushman-e-jaan hai
aankhon se sada door rahay raat gaey tak
paspa hoey tanhai ki yalghaar se jub bhe
hum shehar main aawara phiray raat gaey tak
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete.
Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete.
Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki waja Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete.
Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete.
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete.
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ese Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete.
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete.
Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyu Nahi Dete
Sochta hoon keh usay neend bhi aati hogi
Ya meri terha faqat ashq bahati hogi
Wo meri shakal mera naam bhulanay wali
Apni tasweer se kya aankh milati hogi
Is zameen per bhi hai sailaab mere ashkoon se
Mere matam ki sada arsh hilati hogi
Sham hotay hee wo chokhat pe jala ker shamein
Apni palkon pe kayi khaab sulati hogi
Us ne silwa bhi liye hongay siyah libaas
Ab mohram ki terha eid manati hogi
Hoti hogi mere bosay ki talab mey pagal
Jab bhi zulfon mey koi phool sajati hogi
Mere tareek zamanon se nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate hogi
Dil ki masoom ragein khud hee sulagti honngi
Jonhi tasweer ka kona wo jalati hogi
Roop de ker mujhe us mey kisi shahzaday ka
Apnay buchon ko kahani wo sunati hogi..!
Lagi neend jab thap'thapane mujhE
Teri yaad aayi rulane mujhe
Hareefon se keh do k tanha Hun mai
Chale aayen ab aazmane mujhe !
Ragoun me lahu khaolta hi nahi,
Ye kya ho gaya ab na jaane mujhe !
To kya waqayee kho gayE HuM kahin
Mera saya nikla hai paane mujhe !
Mai sadiyon purani katha Hun koi,
Bhula de tu ab e zamane mujhe
Jo bujhne laga hun NAAZ mai ka
Jalaya hai maoj e hawa ne mujhe !!!!
Nain Khultay na thay, neend aati na thi, raat aahista aahista dhalti rahi
Saaray OoraQ-e-Ghum muntashir hOgaye, dair tak dil main aandhi si chalti rahi
Ghaas thi jugnuOn ko chupaye huye, Pair thay teergi main nahaye huye
Aik konay main sar ko jhukaye huye, Dard ki shama afsurda jalti rahi
Pehlay din tha mOhabbat ki barsat ka, Waqt theraa tha tujhse mulaqat ka
Qatra Qatra guzarti rahin saa'aten, Saaye letay rahay. Dhoop chalti rahi
Ranj pichli mOhabbat k sehtay thay hUm, Aik hi Karya Jaan main rehtay thay hum
Din dhalay ya kisi subha k MOr par, Apnay milnay ki surat nikalti rahi
Aik raatOn main bichri hui raat main, Hum akailay tha khuab mulaqat main
Chal paray dono aik dusray ki taraf, Khuab Ghat'ta raha, Raat dhalti rahi
Raat kii neend urra daitay hain
chand say cheray walay loog
Neend tou khuwab ho gai shayad
Jins-e-nayaab ho gai shayad
Apne ghar ki tarah woh larki bhi
Nazr-e-sailaab ho gai shayad
Tujh ko sochoon tou roshni dekhoon
Yun mehtaab ho gai shayad
o na mil sakay wohi bewafa, yeh bari ajeeb si baat hai
Jo chala gaya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai
Jo kisi nazar se atta huwi, wohi raushni hai khayaal mein
Woh na aasakay rahon muntazir, yeh khalish kahan the wisaal mein
Meri justujoo ko khabar nahee, na woh din rahay na woh raat hai
Jo chala gaya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai ...
Karay pyaar lab pe gila na ho, yeh kisi kisi ka naseeb hai
Yeh karam hai us ka jahaan nahee, woh juda bhi reh kar qareeb hai
Wohi aankh hai meri rubaru, ussi haath mein mera haath hai
Jo chala gaya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai ...
Mera naam tak jo na lesaka, jo mujhe qaraar na de saka
Jissay ikhteyaar tu thaa magar, mujhe apna pyar na de saka
Wohi shaks meri talaash hai, wohi dard meri hayaat hai
Jo chala gaya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai ...
Aik muddat say aankh roi nahin
Jheel payaab ho gai shayad
Hijr kay panyun main ishq ki naao
Kahin gherqaab ho gai shayad
Chand logoon ki dastaras main hai
Zeest kum khuwaab ho gai shayad
Neend mein iss tarah safar hota
Samnay khwab e mukhtasar hota hota
Aankh hoti kisi nazar ki aseer
Dill kisi aarzoo ka gharr hota
Ik sitaray ki samt hijrat e no
Khakdan say kabhi mafar hota
Ajnabi dais ki hawaon say
Rishta e chashm o baal o parr hota
Raat aur din ki iss musafat mein
Koei apna bhi hamm safar hota
Main jiya karti uss kay roaz o shabb
Woh meri umr mein basar hota
Apni hasti ko bhool jati main
Woh bhi dunya say be khabar hota
Paon rakhtay zameen e abr pe hamm
Koocha e maah say guzar hota
Uss say kartay shikayat e dunya
Aasman ghamm gusaar agar hota
Kuch na kisi se bolain gay
Tanhaii main ro lain gay
ham bay-rahoon ka kya??
sath kisi k ho lain gay
khud to hovay ruswa laikin
teray baidh na kholain gay
hijar k shab sonay valay
hashar ko ankhain kholain gay
phir koi andhii uthay giii
punchee jab par tolain gay
Neend to kya aye gii FRAZ!
Maut aye to soo lain gay.
Log har mor pe ruk ruk k sambhalty kyon hain,
Itna dartay hain to phir ghar se nikaltay kyon hain,
Main nakoi jugnu hon na diya na chand,
Phir roshni wale mere naam se jaltay kyon hain,
Jub neend se mera ta'alluk hi nahi barson se,
khwab aa aa k meri palkon pe tehltay kyon hain,
Is main mosam ka qasoor hai ya logon ka,
Log mosam ki tarha pal bhar mein badaltay kyon hain...?
Toti hai meri neend magar tum ko is say kia!
bajtay rehain hawaoon say dar, tum ko is say kia!
tum moj moj misl-e-saba ghomtay raho
kat ja'ain meri soch k par, tum ko is say kia
aoroon ka hath thamoo, unhain rasta dekhao
mein bhool jaoon apna he ghar, tum ko is say kia
abr-e-gurez pa ko barasnay say kiya gharaz
sipi mein ban na pa'ey gouhar, tum ko is say kia!
tum nay tou thak k dasht mein khemay laga le'ay
tanha kattay kisi ka safar, tum ko is say kia!
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay
Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay
Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay
Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay
Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay
Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta
Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta
Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta
Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta
Mujhe chain na aaye, chain na aaye, chain na aaye
Mujhe neend na aaye, ho
Mujhe neend na aaye, mujhe chain na aaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya
Mujhe neend na aaye, mujhe chain na aaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya
(Haalat kya hai kaise tujhe bataaoon main
Karvat badal badalke raat bitaaoon main
Poochho zara poochho kya haal hai
Haal mera behaal hai
Koi samajh na paaye kya rog sataaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya -
Na jaane kahan dil kho gaya
Jaan se bhi pyaara mujhko mera dil hai
Uske bina ek pal bhi jeena mushkil hai)
Tauba meri tauba kya dard hai
Dard bada bedard hai)
Kabhi mujhko hasaaye kabhi mujhko rulaaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya
Mujhe neend na aaye, neend na aaye, neend na aaye
Mujhe chain na aaye, chain na aaye, chain na aaye
Mujhe neend na aaye, mujhe chain na aaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya
Kahun K Kia Ho Tum….?”
Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,
Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,
Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,
Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,
Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,
Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Meri JAAN ho Tum.
silsile toR gayaa vo sabhii jaate jaate
varnaa itne to maraasim the ke aate jaate(maraasim : relationship)
shikvaa-e-zulmat-e-shab se to kahiiN behtar thaa
apne hisse kii ko’ii shammaa jalaate jaate
(shikvaa-e-zulmat-e-shab : lamenting about the darkness of the night)
kitnaa aasaaN tha tere hijr meN marna jaanaaN
phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate
jashn-e-maqtal hi na barpa hu’aa varnaa ham bhii
paa-bajolaaN hii sahii naachte gaate jaate
(jashn-e-maqtal : celebration at gallows; paa-bajolaaN : chained)
uskii vo jaane usse paas-e-vafaa thaa ke na thaa
tum “Faraz” apnii taraf se to nibhaate jaate
apnay kirdar koo mosam say bacha kar rakhna
loot kar phool main wapas naheen aati khushbu
Khuda hum koo aisii khudaii naa day
keh apnay siwa kuch dikhai naa day
khatawar samjhay gii dunia tujhay
abb itni ziyada safaiii naa day
khuda aaisay ehsas kaa nam hay
rahay samnay oor dikhaii naa day
hansoo aaj itna keeh iss shor main
sada siskaion kii sunaii naa day
Dil ke jharoke mein tujko bitha kar
Yadoon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas
Kal tere jalwe paraaye bhi honge
Lekin jhalak mere khwaabon mein hogi
Phoolon ki doli mein hogi tu rukhsat
Lekin mehek meri saanso mein hogi
Dil ke jharoke mein tujko bitha kar
Yadoon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas
Ab bhi tere surkh hothon ke pyaale
Mere tassavur mein saaki bane hain
Ab bhi teri zulf ke mast saaye
Birha ki dhoop mein sathi bane hain
Dil ke jharoke mein tujko bitha kar
Yadoon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas
Meri mohabbat ko thukra de chaahe
Main koi tujhse na shikwa karunga
Aankho mein rehti hai tasveer teri
Saari umar teri pooja karunga
Ruthna Mat Kabhi Hame Manana Nahi Aata,
Door Nahi Jana Hame Bhulana Nahi Aata,
Tum Bhool Jao Hame Tumhari Marzi,
Magar Hum Kya Kare Hame Bhulana Nahi Aata…
"tera ruthna aur mera manana,
shayad yahi hai zindagi ka fasana;
magar yeh yaad rakhna ai-mere-dost yeh ek hi hai;
ke tera ruthna ya zindagi ka ruth jana."
Wo Tera Ruthna Mujhse Mera Tujh Ko Mana
LenaMuhabat Ki Nishani HayGale Mujhko Laga
Lena Muhabat Jis Se Hoti HayUsi Pe Maan Hota Hay
Kabhi Me Roth Jao ToMujhe Tum Bhi Mana Lena Ana
Se Dor He Rehna KYa Sab Kuch Mita Degi Ana K
Khol Se Khud KoHar Surat Bacha Lena Muhabat K
Samandar Me Kabi Tofan B Uthta Hay Is Tofan Me
Janam Mujhe Kashti Bana LenaAgar Dube Ge Hum
Dono To aik he Sath Dube GayMera Tum Se Ya Wada
Hay Magar Tum B Nibha layna.
Wo tera ruthna mujh se,
Mera tujh ko mana lena,
Muhabbat ki nishani hai,
Gale mujhko laga lena,
Muhabbat jis sy hoti hai,
Usi pe maan hota hai,
Muhabbat ke samander mein kbhi tofan b uthta hai,
Is tofan mein jaana mujhy kashti bana lena,
Ager dubenge hum dono tou aik sath hi dubenge,
Mera tumsy ye wada hai Mager tum bhi nibha leyna.
Hum se Na Ruthna kabhi,
Andaaz E Dosti to ek ada hai
Us ke bina Zindagi mein Na Maza hai,
Is liye kehte hain
Hum se Na Ruthna kabhi,
kyon k DOST ka Ruthna bhi ek Saza hai.
Kabhi yoon mily koi MASLEHAT
Koi Khuff-e-Dil main zrra na ho
Mughy apni koi khabar na ho
Tujhy apna koi pata na ho
Kabhi dhoop day kabhi badlyan
Dill-o-Jaan se dono kabool hain
Mager is mahal main na kaid kar
Jahan zindgi ki hawa na ho
Mery ikhtyar main kiya nahi
Mughy istarhan se nawaz day
Uoun DUAIN meri kabool hoon
Mery lab pe koi DUA na ho!!!
TOO KIA YEH TAY HAY KEH AAB UMER BHAR NAHEEN MILLNA
TOO PHIR YEH UMER BHI KION TUM SAY GAR NAHEEN MILLNA
CHALOO ZAMANAY KII KHATIR YEH JABAR BHII SHEH LAIN
KEH ABB NAHEEN JOO MILLAY TOOT KAR NAHEEN MILLNA
RAHAY WAFA KAY MUSAFIR KOO KOON SAMJHAY
KEH ISS SAFAR MAIN KOOI HAMSAFAR NAHEEN MILLNA
JUDA TOO JAB BHII HOOWAY DILL KOO UOON LAGA JAISAY
KEH ABB KAHAIN TOO KABHI LOOT KAR NAHEEN MILLNA
Barish this hum thy aur ghani ho rahe the sham,
Tm ne liya tha kanpty hountoon se mera nam,
Main ne kaha tha aoo yunhi bheegty chalain.
In rastoon main dair tak ghumty rahin,
Meri kamar main yah hath phoolon sa dal kr,
kandhe pe mery yunhi rakhy raho apna sar,
Hathoun ko main kabhi! Kabhi baloun ko chum loun
Daikho meri traf tu ankhoon ko chum loun,
Pani k yah jo phol hain ruksaar pe khily hoy,
In main Dhanak k rang hain sary ghuly hoy,
Hontoon se in ko chounty rahen khush dilly k sath,
Yunhi kisi darakht k nechai khary rahen,
Barish k dair bad B lipty khary rahen,
Nasha sa charooun ordh phelta gea,
Pher us k bad main tumain kuch nahi kaha!!!
-MALE--
Mujhe neend na aaye, neend na aaye, neend na aaye
--FEMALE--
Mujhe chain na aaye, chain na aaye, chain na aaye
--MALE--
Mujhe neend na aaye, ho
Mujhe neend na aaye, mujhe chain na aaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya - 4
--FEMALE--
Mujhe neend na aaye, mujhe chain na aaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya - 4
(Haalat kya hai kaise tujhe bataaoon main
Karvat badal badalke raat bitaaoon main) - 2
--MALE--
(Poochho zara poochho kya haal hai
Haal mera behaal hai) - 2
Koi samajh na paaye kya rog sataaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya - 2
--FEMALE--
Na jaane kahan dil kho gaya - 2
--MALE--
(Jaan se bhi pyaara mujhko mera dil hai
Uske bina ek pal bhi jeena mushkil hai) - 2
--FEMALE--
(Tauba meri tauba kya dard hai
Dard bada bedard hai) - 2
Kabhi mujhko hasaaye kabhi mujhko rulaaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya - 2
--MALE--
Mujhe neend na aaye, neend na aaye, neend na aaye
--FEMALE--
Mujhe chain na aaye, chain na aaye, chain na aaye
--MALE--
Mujhe neend na aaye, mujhe chain na aaye
Koi jaaye zara dhoondke laaye
Na jaane kahan dil kho gaya - 2
--FEMALE--
Na jaane kahan dil kho gaya - 2